Monday, October 03, 2005

BAAZEECHAA-E-ATFAAL, GHAZAL
by Mirza Ghalib

1. baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

[ baazeechaa = play/sport, atfaal = children ]

2. ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

[ auraNg = throne, 'eijaz = miracle ]

3. juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

[ juz = other than, aalam = world, hastee = existence,
ashiya = things/items ]

4. hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

[ nihaaN = hidden, gard = dust, sehara = desert, jabeeN = forehead ]

5. mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

6. sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

[ KHudbeen = proud/arrogant, KHud_aaraa = self adorer,
but = beloved, aainaa_seemaa = like the face of a mirror ]

7. fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

[ gul_afshaanee = to scatter flowers, guftaar = speech/discourse,
sahaba = wine, esp. red wine ]

8. nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

[ gumaaN = doubt, rashk = envy ]

9. imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

[ kufr = impiety, kaleesa = church/cathedral ]

10. aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

[ farebee = a fraud/cheat ]

11. KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

[ hijr = separation ]

12. hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

[ mauj_zan = exciting, qulzum = sea, KHooN = blood ]

13. go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

[ jumbish = movement/vibration, saaGHar-o-meena = goblet ]

14. ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !

[ ham_pesha = of the same profession, ham_masharb = of the
same habits/a fellow boozer, ham_raaz = confidant ]

No comments: